Class 12 Entrepreneurship Chapter-Wise Important Questions 2027

Class 12 Entrepreneurship Chapter-Wise Important Questions 2027
Score 95%+ in Entrepreneurship (EDP) with complete chapter-wise important questions and preparation strategy.
Hello Students! Kya aap Bihar Board Class 12 Entrepreneurship (उद्यमिता) Exam 2027 ki tayari kar rahe hain? Agar aap commerce stream ke student hain, toh Entrepreneurship ek behad scoring subject hai jisme thodi si smart study se aap aasani se 90+ marks score kar sakte hain.
Is article mein humne 2027 ke board exams ke pattern ko dhyan mein rakhte hue sabhi chapters ke sabse zyada important Short Answer Questions, Long Answer Questions, aur Objective Questions ki list taiyaar ki hai.
Bihar Board 12th Commerce मंजिल (Full बैच) - 2026-27
Achieve top scores in your 12th board exams with complete syllabus coverage, live classes, and PDF notes. Abhi enroll karein!
Download App & JoinChapter-Wise Important Topics & Questions
Chapter 1: Entrepreneurship: Concept, Nature and Characteristics (उद्यमिता: अवधारणा, प्रकृति एवं विशेषताएं)
Important Questions:
- Udyamita se aap kya samajhte hain? Iski pramukh विशेषताएं (Characteristics) likhein.
- Ek successful entrepreneur ke gun (Qualities of an Entrepreneur) ka varnan karein.
- Udyamita aur Prabandh (Entrepreneurship vs Management) mein kya antar hai?
Chapter 2: Entrepreneurial Opportunity & Environment (उद्यमीय अवसर एवं पर्यावरण)
Important Questions:
- Avsar ki pehchan (Senseing Entrepreneurial Opportunities) kaise ki jaati hai?
Business environment ka udyam par kya prabhav padta hai?
Chapter 3: Enterprise Planning & Project Report (उद्यम नियोजन एवं परियोजना प्रतिवेदन)
Important Questions:
- Project Report (परियोजना प्रतिवेदन) kya hai? Iske mukhya tatv (Components) likhein.
- Business Plan banane ka kya mahatva hai?
Chapter 4: Enterprise Marketing & Growth (उद्यम विपणन एवं विकास)
Important Questions:
- Marketing Mix (विपणन मिश्रण) ke chaar P's kya hain?
- Vigyapan (Advertising) aur Sales Promotion mein antar स्पष्ट karein.
Bihar Board 11th Commerce परिवर्तन बैच (Bilingual) 2026-27
Complete 11th commerce preparation with expert guidance in both Hindi & English mediums! Strong base banayein apne future ke liye.
Join Course NowPro Tips to Score 95+ in Entrepreneurship 2027
- NCERT & State Board Books: Apne syllabus ke liye standard text books ko achhi tarah read karein.
- Key Terms Definition: Definitions ko exact technical terms ke sath likhne ki koshish karein.
- Previous Year Papers: Pichle 5 saal ke question papers ko zaroor solve karein kyunki questions repeat hote hain.
- Revision: Weekly basis par handwritten notes ka revision karein.
Frequently Asked Questions (FAQs)
Q1: Kya Entrepreneurship mein sirf subjective questions aate hain ya objective bhi?
Ans: Bihar Board ke latest pattern ke mutabiq, 50% objective questions (MCQs) aur 50% subjective questions (Short & Long answer) puche jaate hain.
Q2: 2027 board exam ke liye preparation kab se start karni chahiye?
Ans: Jitni jaldi ho sake session start karein. Class 11th aur 12th ki shuruwat se hi regular padhai karne par 90+ marks lana asaan hota hai.
Q3: Kya yeh important questions Hindi aur English dono medium ke liye hain?
Ans: Haan, yeh questions bilingual concepts par based hain jise Hindi medium ke students asani se samajh sakte hain.